Thursday, June 8, 2023
HomeLifestyleAkshy tithi 2023 : Iska itihaas utsav aur, Sona kab kharide

Akshy tithi 2023 : Iska itihaas utsav aur, Sona kab kharide

 Akshy tithi 2023: Hindu aur Jain dwara vaishakh mahine ke teesre din anthin samriddhi ka din manaya jata hai. aap sab Janna chahte Hain to niche diye Gaye artical ko jarur padhen.

Akshy tithi 2023 : Iska itihaas utsav aur, Sona kab kharide
Akshy tithi 2023 : Iska itihaas utsav aur, Sona kab kharide

Akshy tritiya anthin samriddhi ka din pure Bharat aur Nepal mein Hindu aur Jain mein manaya jata hai. yah din kisi bhi tarah ki nai shuruaat ke liye Shubh Mana jata hai. aur log aamtaur per naya kam shuru karte hain, shadiyon ka aayojan karte hain ya FIR Sona, sampatti aur Anya mahangi vastuon mein invest karte Hain. ise akti khatij ke naam se bhi Jana jata hai yah tyohar vaishakh mahine ke teesre din Vasant Ritu mein aata hai.

Sanskrit mein ‘akshy’ Shabd ka Arth hai “sakshat” aur is din Kiya gaya ya shuru Kiya Gaya kuchh bhi kam hamesha ke liye ya kabhi khatm nahin hone wala Mana jata hai. dip Chand ke anusar is din koi bhi jap, yagya ,pitru – tarpan, Dan – punya karne ka fal kabhi Kam nahin hota aur vyakti ke pass hamesha banaa rahata hai.

Akshay tritiya ki tithi aur subh mahurat 

Is varsh akshy tritiya 22 April 2023 , shanivaar ko manae ja rahi hai Puja ka muhurt 4 ghante 31 minut Tak rahega, Jo subah 7: 49 ke dopahar 12:00 bajkar 20 minut Tak rahega. tritiya tithi 22 April 2023 ko subah 7:49 baje se shuru hogi aur 23 April 2023 ko subah 7:47 baje samapt hogi.
Kai log saubhagya aur samriddhi ke liye akshy tritiya per Sona kharidte Hain yadi aap bhi Aisa hi karne ki Yojana banaa rahe hain to Sona kharidne ka Shubh muhurt 22 April 2023 shaniwar ko subah 7:39 baje se 23 April 2023 ravivar ko subah 5:48 minut hai. Jabkip iskip vidhi 21 ghante 59 minute tak hogi.

Akshay tritiya ka mahatav

Akshy tritiya Bhagwan Vishnu ko samarpit hai aur Hindu pauranik kathaon ke anusar, is din treta Yug ki shuruaat hui thi. is din Ko Bhagwan Vishnu ke chhathe Avatar Parshuram jayanti ke roop mein bhi manaya jata hai aisa kaha jata hai ki Bhagwan Vishnu ne is grah per burai ko nasht karne ke liye Parshuram ke roop mein Prithvi per punarjan kiya tha.
Ek anay kivandati kehti hai ki ganga Nadi Akshay tritiya per Prithvi per utari aur iss prakar, iss din ko gangavatran ke rup mein bhi manaya jaata hai.

Akshay tritiya ka parav

Is din log Bhagwan se prathna karte Hain ki jaruratmandon ko bhojan, kapde aur paise pradan karte hain aur Sona aur Anya kimati saman kharidte Hain. is din log sone ke alava sampatti mein bhi nivesh karte hain naya vahan, kitaben electronics, abhushan, krishi upkaran aadi kharide Hain.
RELATED ARTICLES

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Most Popular

Recent Comments