Thursday, June 8, 2023
HomeLifestyleBaalon ki dekhbhaal : aapke kitchen ki 10 cheeze jinka istemaal krke...

Baalon ki dekhbhaal : aapke kitchen ki 10 cheeze jinka istemaal krke aap baalon ka girna rok sakte hai

Lagbhag sabhi vyakti jiwankaal mein ek baar baal baal girte hue dekhte hai, jabki kai karan ho sakte hai, kuch samanya rasaoi ke samaan hai jo healthy hairs ke vikaas ko badhava Dene aur baalon ke jhadne ko rokne ke liye maane jaate hai.

Baalon ki dekhbhaal : aapke kitchen ki 10 cheeze jinka istemaal krke aap baalon ka girna rok sakte hai
Baalon ki dekhbhaal : aapke kitchen ki 10 cheeze jinka istemaal krke aap baalon ka girna rok sakte hai

Unme se kuch iss prakaar hai:

Alovera :- 

Alovera zel mein enzymes hote hai jo baalon ke vikas ko badhava dete hai. Apne scalp aur baalon per taza alovera zel lagayen aur ise wash karne se pehle 30 minutes ke liye chod de.

Nariyal Ka Tel :- 

Nariyal ka tel vitamin aur khanizo se bharpur hota hai jo baalon ko majboot bnane ke liye aur ballon ko jhadne se rokne ke liye madat kar sakta hai.

Apne scalp aur baalon mein nariyal ke tel ki maalish karen aur isse dhone se pehle kuch ghanto ke liye chod de.

Pyaaz ka Ras :-

 pyaaz ke ras mein sulfer yoogik paaya jaata hai jo baalon ke vikas ko badhava de sakta hai.

Taaza nichoda hua pyaaz ka ras apne scalp per lagaye. Aur isse dhone se pehle 30 min ke liye chod de.

Eggs :- 

eggs protein aur biotin se bharpoor hote hai, yeh dono hi swasth baalon ke vikas ko badhava Dene mein madat kar sakte hai. Ek ande mein bda chamach jaitun ka tel millaayen aur isse apne baalon aur scalp per lagayen. Isse dhone se pehle 30 min ke liye chod de.

Maithi ke biiz :- 

maithi ke biiz mein protein aur nikotinn acid hota hai jo baalon ke jhadne aur ballon ke vikas ko badhava Dene mein madat kar sakta hai.

Maithi ke daanon ko raatbhar bhigo de aur inhe pisskar paste bna lein. Paiste ko apne scalp aur ballon per lagayen aur isse dhone se pehle 30 min ke liye chode de.

Kadhi patte :- 

kadhi patte anti oxident aur protein se bharpoor hote hai jo ballon ke jhadne ko rokne ke liye aur ballon ke vikas ko badhava Dene mein madat kr sakta hai.

Nariyal ke tel mein muthi bhar Kadhi patte ubaal lein aur iss mixture se apne head ki tavacha per maalish karen. Isse dhone se pehle kuch ghanto ke liye laga rehne de.

Green Tea :- 

Green tea mein anti oxident hote hai jo swasth baalon ke vikas ko bhadava Dene mein madat kar sakte hai.

Green tea ka kadha bnayen aur isse apne scalp aur baalon per lagayen. Isse dhone se pehle ek ghante ke liye chod de.

Dahi :- Dahi pro-biotics se bharpoor hota hai jo swasth baalon ke vikas ko badhava Dene mein madat kar sakta hai. Cakunder ke ras mein ek bda chamach sehad milaayen aur isse apne ballon aur scalp per lagayen.. isse dhone se pehle 30 min ke liye lga hua rehne de.

Chukandar:- Chukandar iron aur anti oxident se bharpoor hota hai jo swasth ballon ke vikas ko badhava Dene mein madat kar sakta hai. Chukandar ke ras mein ek bda chamach sehad millayen aur isse baalon aur scalp per lagayen. Isse dhone se pehle  30 min Tak lga hua hi rehne de 

Aawla :- Aawla Vitamin C se bharpoor hota hai, jo swasth hairs ke growth ke liye atyant labhdayak hota hai. Aawla powder ko nariyal ke tel mein milakar apne baalon aur scalp per lagayen. Isse dhone se pehle kuch ghanto  ke liye lga hua hi rehne de.

RELATED ARTICLES

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Most Popular

Recent Comments