Roj ke khane mein ek Jaise fiber wale food Lene se behtar hai ki har din अलग-अलग fiber ke source wale food ko khayen. Isase motape ke sath hi ine bimariyon se bhi bachne mein madad milati hai.
 |
Diet mein fiber ko ignore na kare, fat hi nhi inn bimariyon ka ho jayega khatra |
Sehatmand rahana hai to poshan se bharpur diet ki jarurat Hoti hai. Aksar log motapa hone ya bimariyon Ho jaane per hi healthy food Lena shuru karte Hain. lekin agar aap hamesha kuchh minerals aur vitamin ko diet mein Shamil karte ho to kafi sari bimariyon ka khatra apne aap hi kam ho jata hai. fiber bhi ISI jaruri nutrition mein Shamil hai. jiski paryapt Matra motape se lekar Kai sari bimariyon ke hone ke khatre ko bhi kam karti hai. fiber ki Keval prapt matraen ke liye kafi nahin hai. fiber kis tarah lena hai yah bhi pata hona jaruri hai to chaliye jaane kis tarah se fiber ko daily diet mein shaamil Kiya ja sakta hai.
Fiber ko body mein kaise lein
Body ka system har din Aur khane ke hisab se badalta rahata hai. aise mein ek Jaise fiber wale food ko khane se aanton ki sehat ko nuksan ho sakta hai. isliye jaruri hai ki har bar alag tarah ke fal aur sabjiyon ki madad se fiber ki purti ki jaaye.
Har din fiber ki maatra badhayen
Ek din main hi fiber ki dher sari Matra khane se digestion system bigad sakta hai. aise mein aap धीरे-धीरे fiber ki Matra ko diet mein badhaen. Rojana 50 sal se kam umra ki mahilaon ko 30 gram Aur purushon Ko 38 gram fiber ki Matra leni chahie.
Fiber mein kon kon se guun payen jaate hai ?
Yah to sabhi jante Hain ki digestion ki problem hone per fiber se bharpur aahar khana chahie. Keval digestion hi nahin fiber aanton ko sehat ko bhi theek rakhta hai. sath hi sehatmand life jeene mein madad Karta hai. ine bimariyon se bachata hai fiber yukt bhojan.
Aanton ko rakhta hai majboot
Aant yani gat ki deewaren hamare khae food se milkar Bani Hoti. hai jab ham fiber wale food ko khate Hain to gath ki deewaren majbut Hoti hai. jisse yah good bacteria ko acche se kam karne mein madad karta hai aur body ke bich barrier banakar rakhti hai. aant ki deewar kamjor hone se sharir mein inflammation ki samasya hone lagti hai. yah good bacteria khane ko pachane mein madad karte hain. isiliye fiber aanton ki health ke liye bahut jaruri hai.
Diabetes hone se bachata hai fiber
Jab ham fiber se bharpur bhojan khate Hain to yah sharir mein blood sugar level ko sthir banakar rakhti hai. agar blood sugar level asthir hota hai to diabetes ka khatra badh sakta hai.
Ghutno se dard se chutkara milta hai
Fibre wale food khane se ghutnon mein hone wali aurat ke Dard se chhutkara milta hai.
Fibre yukt food allergy se bachata hai
Fibre se bharpur food khane se digestion sahi rahata hai aur kisi bhojan se hone wali allergy se sharir ko bacha ke rakhta hai.
Weight Kam karne mein karta hai madat
Jab ham fiber se bharpur bhojan khate Hain to pet der tak bhara rahata hai. jiski vajah se ham kuchh hi jyada khane se bachte hain. natije mein motapa girne ki aashanka kam Ho jaati hai.
Kaane ki inn cheezo se milta hai bharpoor fiber
Mausami fruit aur sabjiyam mein prayapat Matra mein fiber mil jaata hai.
Eggs fiber ka sabse accha source hai. Oats, raajgira, wheat inn saare anaaj ko apni diet mein jarur shaamil karen. Isse fiber ki acchi khasi maatra hoti hai.