Different vitamin aur khanijon ki Kami ekagrata aatm mulya aur mijaj ki Kami ko prakat kar sakti hai.
Brain ke kamkaj mein bhojan ek mahatvpurn bhumika nibhata hai. Kharab poshan se kharab mansik swasthya bhi ho sakta hai. Kai mamalon mein, pahle sanketon ko pahchanne se aapko Apne mastishk ke swasthya ko behtar banane ke liye Apne poshan ka Sevan badhane mein madad mil sakti hai.
![]() |
Foods jo memory and brain health improve karne mein madat karte hai |
Bhojan sharir aur brain ko poshan deta hai. yadi aap galat tarike se kha rahe hain, to poshak tatvon ki Kami ke prabhav Aksar mansik lakshanon mein dikhai dete Hain.
Nutrition specialist ke anusar, kisi bhi vitamin aur khanij ki Kami pahle bigada hua Smriti aur ekagrata ki Kami ke roop mein dikhai de sakti hai, iske bad manodsha, atma mulya ki Kami ki Bhavna aur “kuposhit dimag” ho sakta hai.
Kharab mental health ke sanketon aur lakshanon Ko samajhne se aapko apni ekagrata, yaddasht aur mijaj mein sudhar ke liye Apne aahar mein kuchh khadya padarthon ko Shamil karne mein madad mil sakti hai.
Vitamin b complex- b1 ki Kami se yaddasht ki samasya, nind ki Kami, pet kharab hona ityadi ho sakta hai niya Singh ki Kami se uttejana aur chinta paida ho sakti hai.
ISI tarah vitamin b6, b12 folic acid ki Kami se bhram, kamjori aur Dhadkan, anemia, mood swing aadi ho sakte hain. Isiliye, vitamin b Lena bahut jaruri hai. Vahi vitamin C aapke mansik swasthya ko behtar banane mein madad karta hai.
Sodium, pottasium, Magnesium, calcium aur Zink ki Kami se aksar manspeshiyon mein thakan ho sakti hai kyunki yah khanij mastishk aur brain ke karya se sambandhit Kai prakriyaon ke liye avashyak hain. vitamin ki Kami ki tulna mein khanijon ki Kami teji se dikhai deti hai.
Saint John ka PaudhaÂ
Is Jadi buti ka bade paimane per avsad ko prabandhit karne ke liye upyog Kiya jata hai. ismein highprisin hota hai jise anti depression gunon ke liye Jana jata hai.
Kawa Kawa
Nerves ko shant karne aur aapko behtar nind mein madad karne ke liye upyog Kiya jata hai. yah tanav aur chinta ko dur karne mein madad karta hai rajonivriti se sambandhit avsad ke ilaaj ke liye prabhavi.
Ginkgo Biloba
Yah mansik karya pranali mein sudhar ke liye sabse achcha shodhit Jadi buti hai aur ismein serotonin badhane wale prabhav Hain, Jo ek “feel-good” neurotransmeter hai ismein anti -dipressent percent prabhav aur mood-boosting guun hote Hain.
Halanki,yaad rakhne waali ek important baat yah hai ki adhikaansh jadi booti ko ucchit margdarshan mein liya jaana chahiye.